Suraye Rehman se mushkilat ka hal
Suraye Rehman husny ibarat aur husny taraz k lihaz se Quran e pak ki zenat hai.is surat ki tilawat mai aisa asar hai k sunny waly per be had khamoshi aur raqat tari hoti hai.ye surat apny husny ibarat aur umda taraz e adaigi mai dulhan ki tarah arasta aur muzayyan hai.
Ye surat har kisam ki hajat rawai k leye bohat akseer hai. hajat k leye is surat ko 11 roz tak rozana 11 martaba parhy tu inshallah hajat pori hogi .
Agar kisi k gar mai mozi janwar rehty ho yani sanmp bichu waghaira tu is surat ko 7 martaba parh kar pani per dum kar k makkan ki dewaro per charaky inshallah mozi janwar waha se khatam ho jayegy.
Fajjar ki namaz k bad ishraq k waqat 3 martaba parhny se insan ki kismat badalti hai azmoda hai . kanwari larkio k leye is surat ka parhna bohat mofeed hai .
No comments:
Post a Comment