KAROBAR MAI TARRAQI KAY LEYE
1. Suba ki namaz kay bad surat yassen 1 bar parhyn se dili morad pori hoti hai aur ju hajat ho wo b pori ho jati hai .
2. Baaz auqat acha bhala chalta karobar yakdum tap ho jata hai. aisa ho jaye tu jummy k din 2 rakat namaz nafal parhy is tarah k surat fatiha k bad surat rehman parhy agar pori surat yad na ho tu iski 3 3 say ziyada ayat pak parhy. jab salam perhy tu daik kar 3 murtaba surat rehman ki tilawat kary aur allah tala se dua mangy. 40 din tak jummy kay din say le kar bila nagha har roz isi tarah kary. inshallah tala pehly say bhi ziyada karobar chalna shoro ho jaye ga.
3.Dukan khoob chalny kay leye sab say pehly bawazu halat mai 7 martaba surat yaseen aur 3 bar surat rehman shareef parh kar apni dukan kay maal per dum kary . inshallah dukan khoob chaly gi aur gahak wafir miqdar mai dukan mai ayegy.
4. Dukan mai khair o barkat kay hasool kay leye har roz dukan kohlny kay bad bawazu halat mai awwal o akhir 11 martaba darood e pak parhy pir 41 bar surat fatiha ka wird kary aur dukan kay charo kono mai poohnk mary inshallah tala dukan mai khair o barkat paida ho jaygi.
5. Maal mai barkat aur ziyadti kay khwahish mand agar "ya rahmano" ko har namaz kay bad taak aidad kay mutabiq parhy tu inshallah tala maal mai barkat paida ho jaygi.
6. Mala maal hony kay leye aur rizaq mai taraqi kay leye namaz fajjar aur namz isha kay bad 119 martaba "ya latifo" parh kar awwal o akhir 11 martaba surat rehman ki pehli 7 ayat parhy. inshallah tala ghaib se allah tala rozi ka sabab paida farmay ga.
No comments:
Post a Comment