FAZEELAT QURAN-E-PAK
Dars-e-Hadees
1.DO SHAKHAS JIN PER HASAD JAIZ HAI
Ibn-e-umar razi ullahu anha say hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad manqool hai kay hasad 2 shakhso kay siwa kisi per jaiz nai... ek wo jis ko allah taala ne quran shareef ki tilawat ata farmai aur wo din rat is mai mashghol rehta hai ..... dosra wo jis ko allah jally shanahu ne maal ki kasrat ata farmai aur wo din rat osy kharch karta hai.
2.Izat o zillat ki bunyad
Hazrat umar razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay haq taala shanahu is kitab yani quran pak ki waja say kitny he logo ko buland murtaba ata karta hai aur kitny he logo ko zillat o ruswai ata karta hai.
3.Ek harf per 10 naikia
Ibn-e-masaud razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay jo shakhs ek harf kitab allah ka parhy os kay leye is harf kay badly ek naiki hai aur ek naiki ka ajar 10 naiki kay braber milta hai . mai ye nai kehta kay sara alif .... lam.... meem ek harf hai balky...alif ek harf..... laam ek harf.....meem ek harf......
4. Qari quran ko sifarish ka haq
Hazrat ali razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay jis insan ne quran parha pir isko hifaz yaad kiya aur is kay halal ko halal jana aur haram ko haram.... haq talla shanahu isko jannat dakhil farma dega aur is kay gharany mai say aisy 10 admio kay bary mai iski shifaat qabool farma degy jin kay leye jahanum wajib ho chuki ho.
5.Daik kar quran kareem parhny ka ajar
Awais razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay kalam allah shareef ka hifaz parhna hazar darja sawab rakta hai aur quran pak mai daik kar parhna 2 hazar tak barh jata hai.
6.Quran maqbool sifarashi hai
Jabar razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay quran pak aisa shafi hai jis ki shifaat qabool ki gai aur aisa jagrallo hai kay jis ka jagrha tasleem kar lia gaya ju insan isko apny agey raky isko jannat ki taraf kinchta hai aur ju isko pichy raky ye osko jahanum mai gira daita hai.
7.Sub say bhara shifaat karny wala
Saeed bin saleem razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay qayamat kay din allah kay nazdeek kalam pak say barh kar koi sifarash karny wala na hoga na koi nabi na farishta.
No comments:
Post a Comment