DEEN O DUNIYA KAY LEYE REHNUMA HIDAYAT
1.Humaisha ye aqeeda raky k allah talla humari maslihato ko hum se ziyada janty hai.
2.Haq talla ki naimto kay sath acha bartao kary.
3.Har jahil kay sath burdbari say kam lia kary.
4.Apny dosto ko karz daro aur karz khwaho kay sath narmi karny ka hukam kary.
5.Kisi ko koi cheez day kar isko badla dainy se befikar kar do.
6.Jitni ibadat ki tofiq mil rai hai os per shukar ada karty rahy.
7.Zaroorat kay siwa karz mangny waly ko karz na dia kary.
8.Apny aihl o ayal ko sharai adaab khud sikaya karo.
9.Farakhi mai fazool kharchi kay bajay muhtajo ki imdad kary.
10.Kisi ki poshida halat ka tajjasus na kiya kary.
11.Jab humy logo mai kuch izat hasil ho jaye tu apni sabqa halat na bhooly.
12.Haq talla ki rehmat ko kisi mosalman say kabhi door na samjhy.
13.Duniya ki har cheez ko ibrat ki nigah say daiky.
14.Qabooliat dua kay waqat apny dosto kay leye b ghaybana dua kary.
15.Kisi yahoodi ya nasrani say ilaj na karway.
16.Aham kamo mai apny dosto say mashwara zaroor ley.
17.Suba o sham bakasrat astaghfar karty raha kary.
18.Fitny kay dino mai apny gar mai raha kary .
19.Kisi ka raaz zahir na kary aur dosro kay aibo pe humaisha parda dala kary.
20.Har any waly mehman ka ikram kia kary .
21.Beamal alim say be suni huwi bat per amal kary.
22.Larki baligh ho jaye tu is ki nikah mai jaldi kary.
23.Kisi alim ya darwaisgh kay pas jany say pehly apny aqal ka tarazo torh kar jaye.
24.Apny dosto ko doky aur fareb say bachny ki nasehat kary.
25.Musalmano mai say kisi kay sath badgumani na kiya kary.
26.Jis insan kay sath be taluq ho mehez allah kay leye.
27.Kany peny kay waqat apny dil ko allah ki taraf mutawaja raka kary.
28.Masjid jaty huwy achy kapry pehanny mai susti na kary.
29.Apny bhaio aur hum asro say bhara banny ki hargiz koshish na kary.
30.Apny nafli sadqat o khairat ko mukhfi raka kary.
No comments:
Post a Comment