Wednesday, 21 February 2018

Maidan-e-Hashar kay 8 gawah

Maidan-e-Hashar kay 8 gawah


Qayamat kay din har insan kay gunaho per 8 gawah paish hongy.

1.JAGA
Jis jaga bandy ne gunah kiya hoga wo jaga wo zameen ka tukra qayamat kay din is kay khilaf qawahi day ga allah talla zameen ko order jari kary gy aur zameen khabry nashar kary gi.aur aaj iska samajna asan daikye video camery hai .har zara zameen ka allah kay hukam say camera banta hai jaha hum gunah karty ho... isi jaga zameen iska photo bana laiti hai aur mehfooz kar laiti hai qayamat kay din zameen kay tukry gawahi dey gy.

2.ZAMANA
Wo din bhi gawahi dey ga jis din hum gunah kary gy allah talla farmay gy....wo gawahi dey ga....
Hadees-e-pak mai irshad hai ..... har din nidaa daita hai aur pukarta aur kehta hai ....AYE insan ; mai naya din hun mery is din mai ju tu  amal kary ga mai qayamat kay din tera gawah banuga tu din bhi gawahi day ga.

3.ZUBAN
Insan ki zuban allah talla farmaty hai . qayamat kay di inki zuban gawahi daygi.aaj ganto gapy marty hai, hansany ki khatir fahash latify sunaty hai aur bhool jaty hai is bat ko kay kal qayamat kay din iska jawab daina paryga.aaj kisi ko zuban say kamena kehna asan zalil kehna asan be iman kehna asan , kal qayamat kay din isko sabit karna yeh intihai mushkil kam hoga ....Allah pochy ga bata tu ne fala ko kamena kue kaha ta fala ko zalil kue kaha ta. allah talla ka pochna koi choti c bat nai hai.

4.AAZA JISAM
Insan kay jisam kay baqi aaza hath pao bhi gawahi day gy ...hath bhi gawahi day ga ...raan bhi gawahi day ga kay kia gunah keye tey?inki gawahi sun kar insan pareshan ho kar kahy ga kay tum kue mery khilaf gawahi day rahy ho .tumhari lazzat ki khatir tu mai nay ye kam kiya ta.wo jawab day ga isi allah nay aaj humy quwat-e-goyai ata ki jis allah nay sub kuch banaya hai.
tum tu gunah karty huwy apny kano say ,apny anko say, jisam kay aaza say parda karty he nai tey kay tumhary khilaf tumahary kaan gawahi dain gy ye aaza allah kay khofia police hai ju qayamat kay din sultani qawah ban jaygy. ju darbar ilahi mai report paish kary gy kay hum gawah hai kay is nay ye ye kiya ta.

5.DO FARISHTY
Allah talla farmaty hai..... beshak tum per nigran moqarrar hai ju moaziz hai , likny waly hai ju kuch tum karty jaty ho wo janty hai.2 farishty motayyan hai . ek naiki likny wala aur ek gunah likny wala.ju hum kar rahy hai iski baqaida roll sheet tayar ho rai hai.

6. AMAAL NAMA
Wo amaal nama ju farishty lik rahy hai wo bhi dikay jaygy .jab mujrim admi paish kiya jayga aur amaal nama dikaya jayga tu kahy ga..... hay bad bakhti ye kaisa amaal nama hai ? koi chota ya bhara gunah aisa na hoga ju is mai lika na hoga.allah allah farmaty hai ......ju kiya hoga wo sub kuch samny payga tera rub kisi per zulam nai karta.......tab he tu jahanum mai jaty huwy farishty pochygy . kia darany wala aur samjany wala koi nai aya ta. kahy gy samjany wala tu aya ta aye kash..... hum sunty aur daikty tu aj humara ye hal na hota.

7.ANMBIYAH ALIHISALA,
Allah rabull izat kay mehboob hazrat mohammad s.a.w gawah hongy. hadees pak mai ata hai ju amaal banda karta hai farishty wo amaal hazoor s.a.w ki khidmat mai poncha daity hai aur qayamat kay din allah rubull izat hazoor s.a.w say gawahi mangy gy.

8.KHUD HAQ TALLA SHANAHU
Jis parwar digar say hum mughfirat mangty hai maafi mangty hai wo parwar digar quran majeed mai farmata hai kay ju amaal tum kar rahy ho mai gawah honga kay qayamat kay din os waqat tumhara kia hal hoga. is leye aaj suchy dil say pichly gunaho say toba kar ley. aaj allah talla ki rehmat ki nazar par gai tu sub gunaho ko allah talla naikio mai badal daiga.

No comments:

Post a Comment