Wednesday, 21 February 2018

Maidan-e-Hashar kay 8 gawah

Maidan-e-Hashar kay 8 gawah


Qayamat kay din har insan kay gunaho per 8 gawah paish hongy.

1.JAGA
Jis jaga bandy ne gunah kiya hoga wo jaga wo zameen ka tukra qayamat kay din is kay khilaf qawahi day ga allah talla zameen ko order jari kary gy aur zameen khabry nashar kary gi.aur aaj iska samajna asan daikye video camery hai .har zara zameen ka allah kay hukam say camera banta hai jaha hum gunah karty ho... isi jaga zameen iska photo bana laiti hai aur mehfooz kar laiti hai qayamat kay din zameen kay tukry gawahi dey gy.

2.ZAMANA
Wo din bhi gawahi dey ga jis din hum gunah kary gy allah talla farmay gy....wo gawahi dey ga....
Hadees-e-pak mai irshad hai ..... har din nidaa daita hai aur pukarta aur kehta hai ....AYE insan ; mai naya din hun mery is din mai ju tu  amal kary ga mai qayamat kay din tera gawah banuga tu din bhi gawahi day ga.

3.ZUBAN
Insan ki zuban allah talla farmaty hai . qayamat kay di inki zuban gawahi daygi.aaj ganto gapy marty hai, hansany ki khatir fahash latify sunaty hai aur bhool jaty hai is bat ko kay kal qayamat kay din iska jawab daina paryga.aaj kisi ko zuban say kamena kehna asan zalil kehna asan be iman kehna asan , kal qayamat kay din isko sabit karna yeh intihai mushkil kam hoga ....Allah pochy ga bata tu ne fala ko kamena kue kaha ta fala ko zalil kue kaha ta. allah talla ka pochna koi choti c bat nai hai.

4.AAZA JISAM
Insan kay jisam kay baqi aaza hath pao bhi gawahi day gy ...hath bhi gawahi day ga ...raan bhi gawahi day ga kay kia gunah keye tey?inki gawahi sun kar insan pareshan ho kar kahy ga kay tum kue mery khilaf gawahi day rahy ho .tumhari lazzat ki khatir tu mai nay ye kam kiya ta.wo jawab day ga isi allah nay aaj humy quwat-e-goyai ata ki jis allah nay sub kuch banaya hai.
tum tu gunah karty huwy apny kano say ,apny anko say, jisam kay aaza say parda karty he nai tey kay tumhary khilaf tumahary kaan gawahi dain gy ye aaza allah kay khofia police hai ju qayamat kay din sultani qawah ban jaygy. ju darbar ilahi mai report paish kary gy kay hum gawah hai kay is nay ye ye kiya ta.

5.DO FARISHTY
Allah talla farmaty hai..... beshak tum per nigran moqarrar hai ju moaziz hai , likny waly hai ju kuch tum karty jaty ho wo janty hai.2 farishty motayyan hai . ek naiki likny wala aur ek gunah likny wala.ju hum kar rahy hai iski baqaida roll sheet tayar ho rai hai.

6. AMAAL NAMA
Wo amaal nama ju farishty lik rahy hai wo bhi dikay jaygy .jab mujrim admi paish kiya jayga aur amaal nama dikaya jayga tu kahy ga..... hay bad bakhti ye kaisa amaal nama hai ? koi chota ya bhara gunah aisa na hoga ju is mai lika na hoga.allah allah farmaty hai ......ju kiya hoga wo sub kuch samny payga tera rub kisi per zulam nai karta.......tab he tu jahanum mai jaty huwy farishty pochygy . kia darany wala aur samjany wala koi nai aya ta. kahy gy samjany wala tu aya ta aye kash..... hum sunty aur daikty tu aj humara ye hal na hota.

7.ANMBIYAH ALIHISALA,
Allah rabull izat kay mehboob hazrat mohammad s.a.w gawah hongy. hadees pak mai ata hai ju amaal banda karta hai farishty wo amaal hazoor s.a.w ki khidmat mai poncha daity hai aur qayamat kay din allah rubull izat hazoor s.a.w say gawahi mangy gy.

8.KHUD HAQ TALLA SHANAHU
Jis parwar digar say hum mughfirat mangty hai maafi mangty hai wo parwar digar quran majeed mai farmata hai kay ju amaal tum kar rahy ho mai gawah honga kay qayamat kay din os waqat tumhara kia hal hoga. is leye aaj suchy dil say pichly gunaho say toba kar ley. aaj allah talla ki rehmat ki nazar par gai tu sub gunaho ko allah talla naikio mai badal daiga.

Tuesday, 13 February 2018

Deen o dunia kay leye rahnuma hidayat

DEEN O DUNIYA KAY LEYE REHNUMA HIDAYAT

1.Humaisha ye aqeeda raky k allah talla humari maslihato ko hum se ziyada janty hai.
2.Haq talla ki naimto kay sath acha bartao kary.
3.Har jahil kay sath burdbari say kam lia kary.
4.Apny dosto ko karz daro aur karz khwaho kay sath narmi karny ka hukam kary.
5.Kisi ko koi cheez day kar isko badla dainy se befikar kar do.
6.Jitni ibadat ki tofiq mil rai hai os per shukar ada karty rahy.
7.Zaroorat kay siwa karz mangny waly ko karz na dia kary.
8.Apny aihl o ayal ko sharai adaab khud sikaya karo.
9.Farakhi mai fazool kharchi kay bajay muhtajo ki imdad kary.
10.Kisi ki poshida halat ka tajjasus na kiya kary.
11.Jab humy logo mai kuch izat hasil ho jaye tu apni sabqa halat na bhooly.
12.Haq talla ki rehmat ko kisi mosalman say kabhi door na samjhy.
13.Duniya ki har cheez ko ibrat ki nigah say daiky.
14.Qabooliat dua kay waqat apny dosto kay leye b ghaybana dua kary.
15.Kisi yahoodi ya nasrani say ilaj na karway.
16.Aham kamo mai apny dosto say mashwara zaroor ley.
17.Suba o sham bakasrat astaghfar karty raha kary.
18.Fitny kay dino mai apny gar mai raha kary .
19.Kisi ka raaz zahir na kary aur dosro kay aibo pe humaisha parda dala kary.
20.Har any waly mehman ka ikram kia kary .
21.Beamal alim say be suni huwi bat per amal kary.
22.Larki baligh ho jaye tu is ki nikah mai jaldi kary.
23.Kisi alim ya darwaisgh kay pas jany say pehly apny aqal ka tarazo torh kar jaye.
24.Apny dosto ko doky aur fareb say bachny ki nasehat kary.
25.Musalmano mai say kisi kay sath badgumani na kiya kary.
26.Jis insan kay sath be taluq ho mehez allah kay leye.
27.Kany peny kay waqat apny dil ko allah ki taraf mutawaja raka kary.
28.Masjid jaty huwy achy kapry pehanny mai susti na kary.
29.Apny bhaio aur hum asro say bhara banny ki hargiz koshish na kary.
30.Apny nafli sadqat o khairat ko mukhfi raka kary.

Monday, 12 February 2018

Fazeelat Quran-e-pak

FAZEELAT QURAN-E-PAK

Dars-e-Hadees

1.DO SHAKHAS JIN PER HASAD JAIZ HAI
Ibn-e-umar razi ullahu anha say hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad manqool hai kay hasad 2 shakhso kay siwa kisi per jaiz nai... ek wo jis ko allah taala ne quran shareef ki tilawat ata farmai aur wo din rat is mai mashghol rehta hai ..... dosra wo jis ko allah jally shanahu ne maal ki kasrat ata farmai aur wo din rat osy kharch karta hai.

2.Izat o zillat ki bunyad
Hazrat umar razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay haq taala shanahu is kitab yani quran pak ki waja say kitny he logo ko buland murtaba ata karta hai aur kitny he logo ko zillat o ruswai ata karta hai.

3.Ek harf per 10 naikia
Ibn-e-masaud razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay jo shakhs ek harf kitab allah ka parhy os kay leye is harf kay badly ek naiki hai aur ek naiki ka ajar 10 naiki kay braber milta hai . mai ye nai kehta kay sara alif .... lam.... meem ek harf hai balky...alif ek harf..... laam ek harf.....meem ek harf......

4. Qari quran ko sifarish ka haq
Hazrat ali  razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay jis insan ne quran parha pir isko hifaz yaad kiya aur is kay halal ko halal jana aur haram ko haram.... haq talla shanahu isko jannat dakhil farma dega aur is kay gharany mai say aisy 10 admio kay bary mai iski shifaat qabool farma degy jin kay leye jahanum wajib ho chuki ho.

5.Daik kar quran kareem parhny ka ajar 
Awais  razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay kalam allah shareef ka hifaz parhna hazar darja sawab rakta hai aur quran pak mai daik kar parhna 2 hazar tak barh jata hai.

6.Quran maqbool sifarashi hai
Jabar razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay quran pak aisa shafi hai jis ki shifaat qabool ki gai aur aisa jagrallo hai kay jis ka jagrha tasleem kar lia gaya ju insan isko apny agey raky isko jannat ki taraf kinchta hai aur ju isko pichy raky ye osko jahanum mai gira daita hai.

7.Sub say bhara shifaat karny wala
Saeed bin saleem  razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay qayamat kay din allah kay nazdeek kalam pak say barh kar koi sifarash karny wala na hoga na koi nabi na farishta.

Wednesday, 24 January 2018

Karobar Mai Tarraqi kay Leye

KAROBAR MAI TARRAQI KAY LEYE




1. Suba ki namaz kay bad surat yassen 1 bar parhyn se dili morad pori hoti hai aur ju hajat  ho wo b pori ho jati hai .

2. Baaz auqat acha bhala chalta karobar yakdum tap ho jata hai. aisa ho jaye tu jummy k din 2 rakat namaz nafal parhy is tarah k surat fatiha k bad surat rehman parhy agar pori surat yad na ho tu iski 3 3 say ziyada ayat pak parhy. jab salam perhy tu daik kar 3 murtaba surat rehman ki tilawat kary aur allah tala se dua mangy. 40 din tak jummy kay din say le kar bila nagha har roz isi tarah kary. inshallah tala pehly say bhi ziyada karobar chalna shoro ho jaye ga.


3.Dukan khoob chalny kay leye sab say pehly bawazu halat mai 7 martaba surat yaseen aur 3 bar surat rehman shareef parh kar apni dukan kay maal per dum kary . inshallah dukan khoob chaly gi aur gahak wafir miqdar mai dukan mai ayegy.

4. Dukan mai khair o barkat kay hasool kay leye har roz dukan kohlny kay bad bawazu halat mai awwal o akhir 11 martaba darood e pak parhy pir 41 bar surat fatiha ka wird kary aur dukan kay charo kono mai poohnk mary inshallah tala dukan mai khair o barkat paida ho jaygi.


5. Maal mai barkat aur ziyadti kay khwahish mand agar "ya rahmano" ko har namaz kay bad taak aidad kay mutabiq parhy tu inshallah tala maal mai barkat paida ho jaygi.


6. Mala maal hony kay leye aur rizaq mai taraqi kay leye namaz fajjar aur namz isha kay bad 119 martaba  "ya latifo" parh kar awwal o akhir 11 martaba surat rehman ki pehli 7 ayat parhy. inshallah tala ghaib se allah tala rozi ka sabab paida farmay ga.






Tuesday, 23 January 2018

Pasand ki Shadi k Leye Asan Wazifa

Pasand ki Shadi k Leye Asan Wazifa
                             
                                                    Baaz bachy achy rishty k intizar mai maa baap k gar bety bety umar guzar laty hai magar acha rishta nai milty . aisy mai larky ya larki ko chahye koi ek namaz e isha k bad ya tahajud kay bad awal ao akhir darood shareef pary surat rehman parhy.namaz mukammal karny k bad allah talla se dil say dua mangy tu inshallah 7 din tak ye ammal billa nagha karny se jald he dil ki murad pori hogi.  

Agar kisi ko suray rehman zubani yad na ho tu wo is surat ki kam as kam 3 ayat yad kary aur 2 rakat nafal namaz mai suray fatiha k bad parhy pir jab namaz mukammal kar le tu salam perhny k bad 2 martaba suray rehman daik kar parhy inshallah bohat jald he apny maqsad mai kamyab ho jaygy.

Baz auqat aisa hota hai k larky ya larki ki jaha b rishty ki baat kary ya tu pori nai hoti ya rishta ho kar toot jata hai.agar aisa ho tu chahye k rat ko namaz e isha k bad pak o saaf kapry pehan kar qibla rou ho kar parhy aur 1 ya 3 afrad mil kar 41 bar suray rehman parhy awwal o akhir 11 bar darood shareef  b parhy aur akhir mai apny maqsad kay hasool k leye dua mangy inshallah bohat jald morad pori ho jaygi.jab tak matloba maqsad hasil na ho is ammal ko jari raky.