Wednesday, 21 February 2018

Maidan-e-Hashar kay 8 gawah

Maidan-e-Hashar kay 8 gawah


Qayamat kay din har insan kay gunaho per 8 gawah paish hongy.

1.JAGA
Jis jaga bandy ne gunah kiya hoga wo jaga wo zameen ka tukra qayamat kay din is kay khilaf qawahi day ga allah talla zameen ko order jari kary gy aur zameen khabry nashar kary gi.aur aaj iska samajna asan daikye video camery hai .har zara zameen ka allah kay hukam say camera banta hai jaha hum gunah karty ho... isi jaga zameen iska photo bana laiti hai aur mehfooz kar laiti hai qayamat kay din zameen kay tukry gawahi dey gy.

2.ZAMANA
Wo din bhi gawahi dey ga jis din hum gunah kary gy allah talla farmay gy....wo gawahi dey ga....
Hadees-e-pak mai irshad hai ..... har din nidaa daita hai aur pukarta aur kehta hai ....AYE insan ; mai naya din hun mery is din mai ju tu  amal kary ga mai qayamat kay din tera gawah banuga tu din bhi gawahi day ga.

3.ZUBAN
Insan ki zuban allah talla farmaty hai . qayamat kay di inki zuban gawahi daygi.aaj ganto gapy marty hai, hansany ki khatir fahash latify sunaty hai aur bhool jaty hai is bat ko kay kal qayamat kay din iska jawab daina paryga.aaj kisi ko zuban say kamena kehna asan zalil kehna asan be iman kehna asan , kal qayamat kay din isko sabit karna yeh intihai mushkil kam hoga ....Allah pochy ga bata tu ne fala ko kamena kue kaha ta fala ko zalil kue kaha ta. allah talla ka pochna koi choti c bat nai hai.

4.AAZA JISAM
Insan kay jisam kay baqi aaza hath pao bhi gawahi day gy ...hath bhi gawahi day ga ...raan bhi gawahi day ga kay kia gunah keye tey?inki gawahi sun kar insan pareshan ho kar kahy ga kay tum kue mery khilaf gawahi day rahy ho .tumhari lazzat ki khatir tu mai nay ye kam kiya ta.wo jawab day ga isi allah nay aaj humy quwat-e-goyai ata ki jis allah nay sub kuch banaya hai.
tum tu gunah karty huwy apny kano say ,apny anko say, jisam kay aaza say parda karty he nai tey kay tumhary khilaf tumahary kaan gawahi dain gy ye aaza allah kay khofia police hai ju qayamat kay din sultani qawah ban jaygy. ju darbar ilahi mai report paish kary gy kay hum gawah hai kay is nay ye ye kiya ta.

5.DO FARISHTY
Allah talla farmaty hai..... beshak tum per nigran moqarrar hai ju moaziz hai , likny waly hai ju kuch tum karty jaty ho wo janty hai.2 farishty motayyan hai . ek naiki likny wala aur ek gunah likny wala.ju hum kar rahy hai iski baqaida roll sheet tayar ho rai hai.

6. AMAAL NAMA
Wo amaal nama ju farishty lik rahy hai wo bhi dikay jaygy .jab mujrim admi paish kiya jayga aur amaal nama dikaya jayga tu kahy ga..... hay bad bakhti ye kaisa amaal nama hai ? koi chota ya bhara gunah aisa na hoga ju is mai lika na hoga.allah allah farmaty hai ......ju kiya hoga wo sub kuch samny payga tera rub kisi per zulam nai karta.......tab he tu jahanum mai jaty huwy farishty pochygy . kia darany wala aur samjany wala koi nai aya ta. kahy gy samjany wala tu aya ta aye kash..... hum sunty aur daikty tu aj humara ye hal na hota.

7.ANMBIYAH ALIHISALA,
Allah rabull izat kay mehboob hazrat mohammad s.a.w gawah hongy. hadees pak mai ata hai ju amaal banda karta hai farishty wo amaal hazoor s.a.w ki khidmat mai poncha daity hai aur qayamat kay din allah rubull izat hazoor s.a.w say gawahi mangy gy.

8.KHUD HAQ TALLA SHANAHU
Jis parwar digar say hum mughfirat mangty hai maafi mangty hai wo parwar digar quran majeed mai farmata hai kay ju amaal tum kar rahy ho mai gawah honga kay qayamat kay din os waqat tumhara kia hal hoga. is leye aaj suchy dil say pichly gunaho say toba kar ley. aaj allah talla ki rehmat ki nazar par gai tu sub gunaho ko allah talla naikio mai badal daiga.

Tuesday, 13 February 2018

Deen o dunia kay leye rahnuma hidayat

DEEN O DUNIYA KAY LEYE REHNUMA HIDAYAT

1.Humaisha ye aqeeda raky k allah talla humari maslihato ko hum se ziyada janty hai.
2.Haq talla ki naimto kay sath acha bartao kary.
3.Har jahil kay sath burdbari say kam lia kary.
4.Apny dosto ko karz daro aur karz khwaho kay sath narmi karny ka hukam kary.
5.Kisi ko koi cheez day kar isko badla dainy se befikar kar do.
6.Jitni ibadat ki tofiq mil rai hai os per shukar ada karty rahy.
7.Zaroorat kay siwa karz mangny waly ko karz na dia kary.
8.Apny aihl o ayal ko sharai adaab khud sikaya karo.
9.Farakhi mai fazool kharchi kay bajay muhtajo ki imdad kary.
10.Kisi ki poshida halat ka tajjasus na kiya kary.
11.Jab humy logo mai kuch izat hasil ho jaye tu apni sabqa halat na bhooly.
12.Haq talla ki rehmat ko kisi mosalman say kabhi door na samjhy.
13.Duniya ki har cheez ko ibrat ki nigah say daiky.
14.Qabooliat dua kay waqat apny dosto kay leye b ghaybana dua kary.
15.Kisi yahoodi ya nasrani say ilaj na karway.
16.Aham kamo mai apny dosto say mashwara zaroor ley.
17.Suba o sham bakasrat astaghfar karty raha kary.
18.Fitny kay dino mai apny gar mai raha kary .
19.Kisi ka raaz zahir na kary aur dosro kay aibo pe humaisha parda dala kary.
20.Har any waly mehman ka ikram kia kary .
21.Beamal alim say be suni huwi bat per amal kary.
22.Larki baligh ho jaye tu is ki nikah mai jaldi kary.
23.Kisi alim ya darwaisgh kay pas jany say pehly apny aqal ka tarazo torh kar jaye.
24.Apny dosto ko doky aur fareb say bachny ki nasehat kary.
25.Musalmano mai say kisi kay sath badgumani na kiya kary.
26.Jis insan kay sath be taluq ho mehez allah kay leye.
27.Kany peny kay waqat apny dil ko allah ki taraf mutawaja raka kary.
28.Masjid jaty huwy achy kapry pehanny mai susti na kary.
29.Apny bhaio aur hum asro say bhara banny ki hargiz koshish na kary.
30.Apny nafli sadqat o khairat ko mukhfi raka kary.

Monday, 12 February 2018

Fazeelat Quran-e-pak

FAZEELAT QURAN-E-PAK

Dars-e-Hadees

1.DO SHAKHAS JIN PER HASAD JAIZ HAI
Ibn-e-umar razi ullahu anha say hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad manqool hai kay hasad 2 shakhso kay siwa kisi per jaiz nai... ek wo jis ko allah taala ne quran shareef ki tilawat ata farmai aur wo din rat is mai mashghol rehta hai ..... dosra wo jis ko allah jally shanahu ne maal ki kasrat ata farmai aur wo din rat osy kharch karta hai.

2.Izat o zillat ki bunyad
Hazrat umar razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay haq taala shanahu is kitab yani quran pak ki waja say kitny he logo ko buland murtaba ata karta hai aur kitny he logo ko zillat o ruswai ata karta hai.

3.Ek harf per 10 naikia
Ibn-e-masaud razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay jo shakhs ek harf kitab allah ka parhy os kay leye is harf kay badly ek naiki hai aur ek naiki ka ajar 10 naiki kay braber milta hai . mai ye nai kehta kay sara alif .... lam.... meem ek harf hai balky...alif ek harf..... laam ek harf.....meem ek harf......

4. Qari quran ko sifarish ka haq
Hazrat ali  razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay jis insan ne quran parha pir isko hifaz yaad kiya aur is kay halal ko halal jana aur haram ko haram.... haq talla shanahu isko jannat dakhil farma dega aur is kay gharany mai say aisy 10 admio kay bary mai iski shifaat qabool farma degy jin kay leye jahanum wajib ho chuki ho.

5.Daik kar quran kareem parhny ka ajar 
Awais  razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay kalam allah shareef ka hifaz parhna hazar darja sawab rakta hai aur quran pak mai daik kar parhna 2 hazar tak barh jata hai.

6.Quran maqbool sifarashi hai
Jabar razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay quran pak aisa shafi hai jis ki shifaat qabool ki gai aur aisa jagrallo hai kay jis ka jagrha tasleem kar lia gaya ju insan isko apny agey raky isko jannat ki taraf kinchta hai aur ju isko pichy raky ye osko jahanum mai gira daita hai.

7.Sub say bhara shifaat karny wala
Saeed bin saleem  razi ullahu anha hazoor aqdas s.a.w ka ye irshad nakal karty hai kay qayamat kay din allah kay nazdeek kalam pak say barh kar koi sifarash karny wala na hoga na koi nabi na farishta.

Wednesday, 24 January 2018

Karobar Mai Tarraqi kay Leye

KAROBAR MAI TARRAQI KAY LEYE




1. Suba ki namaz kay bad surat yassen 1 bar parhyn se dili morad pori hoti hai aur ju hajat  ho wo b pori ho jati hai .

2. Baaz auqat acha bhala chalta karobar yakdum tap ho jata hai. aisa ho jaye tu jummy k din 2 rakat namaz nafal parhy is tarah k surat fatiha k bad surat rehman parhy agar pori surat yad na ho tu iski 3 3 say ziyada ayat pak parhy. jab salam perhy tu daik kar 3 murtaba surat rehman ki tilawat kary aur allah tala se dua mangy. 40 din tak jummy kay din say le kar bila nagha har roz isi tarah kary. inshallah tala pehly say bhi ziyada karobar chalna shoro ho jaye ga.


3.Dukan khoob chalny kay leye sab say pehly bawazu halat mai 7 martaba surat yaseen aur 3 bar surat rehman shareef parh kar apni dukan kay maal per dum kary . inshallah dukan khoob chaly gi aur gahak wafir miqdar mai dukan mai ayegy.

4. Dukan mai khair o barkat kay hasool kay leye har roz dukan kohlny kay bad bawazu halat mai awwal o akhir 11 martaba darood e pak parhy pir 41 bar surat fatiha ka wird kary aur dukan kay charo kono mai poohnk mary inshallah tala dukan mai khair o barkat paida ho jaygi.


5. Maal mai barkat aur ziyadti kay khwahish mand agar "ya rahmano" ko har namaz kay bad taak aidad kay mutabiq parhy tu inshallah tala maal mai barkat paida ho jaygi.


6. Mala maal hony kay leye aur rizaq mai taraqi kay leye namaz fajjar aur namz isha kay bad 119 martaba  "ya latifo" parh kar awwal o akhir 11 martaba surat rehman ki pehli 7 ayat parhy. inshallah tala ghaib se allah tala rozi ka sabab paida farmay ga.






Tuesday, 23 January 2018

Pasand ki Shadi k Leye Asan Wazifa

Pasand ki Shadi k Leye Asan Wazifa
                             
                                                    Baaz bachy achy rishty k intizar mai maa baap k gar bety bety umar guzar laty hai magar acha rishta nai milty . aisy mai larky ya larki ko chahye koi ek namaz e isha k bad ya tahajud kay bad awal ao akhir darood shareef pary surat rehman parhy.namaz mukammal karny k bad allah talla se dil say dua mangy tu inshallah 7 din tak ye ammal billa nagha karny se jald he dil ki murad pori hogi.  

Agar kisi ko suray rehman zubani yad na ho tu wo is surat ki kam as kam 3 ayat yad kary aur 2 rakat nafal namaz mai suray fatiha k bad parhy pir jab namaz mukammal kar le tu salam perhny k bad 2 martaba suray rehman daik kar parhy inshallah bohat jald he apny maqsad mai kamyab ho jaygy.

Baz auqat aisa hota hai k larky ya larki ki jaha b rishty ki baat kary ya tu pori nai hoti ya rishta ho kar toot jata hai.agar aisa ho tu chahye k rat ko namaz e isha k bad pak o saaf kapry pehan kar qibla rou ho kar parhy aur 1 ya 3 afrad mil kar 41 bar suray rehman parhy awwal o akhir 11 bar darood shareef  b parhy aur akhir mai apny maqsad kay hasool k leye dua mangy inshallah bohat jald morad pori ho jaygi.jab tak matloba maqsad hasil na ho is ammal ko jari raky.                                                                                

Friday, 19 January 2018

ankho k marz se nijat

ANKHO K MARZ SE NIJAT

 Agar kisi ki ankhn mai pani bhar ata ho aur likny parhny k waqat osy tangi aur mushkilk paish ati ho tu aisi surat mai awwal aur akhir 7 murtaba darood e pak , darmiyan mai 3 bar suray Rehman parhy. har namaz k bad is amal ko karny se ankho mai pani ana band ho jata hai aur ankhy saaf o shafaf ho jati hai aur chand he dino k amal se matloba maqsad pora ho jata hai.

Agar koi ateshk k marz mai mubtila ho tu osy chahye k wo din mai 7 martaba suray fatiha aur awwal o akhir darood shareef parhy inshallah jald he is marz se chutkara hasil ho jay ga.

Agar kisi ki benai kamzor ho rai ho iski ankho k agey andera chah jata ho tu isy chahye k wo ek pyali mai pani le kar awwal o akhir 21 martaba darood pak parhy pir 7 bar ya rahmano ka wird kary is k bad 21 martaba pir darood e pak parhy aur pani per dum kar k is pani ko anko pe maly .inshallah benai tez ho jay gi aur ankho ki roshni b barhy gi.

Wednesday, 17 January 2018

Dolat se mala maal hony ka wazifa

DOLAT SE MALA MAAL HONY KA WAZIFA
     
Ya Mughni ka matlab hai (A beparwa) jaisy he is k naam se he zahir hai ju shaks is isam ka wazifa kary ga allah jally shana hu os bandy ko har chez se beparwa aur begham kar de ga osko dunai k har dolat se mala maal kar dega ju chahy wo ata kary ga.
Agar ya mughni ko musalsal parha jay tu mukhlook se be niazi hasil hogi.agar suba o sham 100 bar parhy tu zahir o batin ki dolat hasil ho. maal o dolat ki kasrat ho. hasby munsha shaadi kay leye is isam ko 1100 martaba rozana 90 din tak parhy inshallah marzi k mutabik shadi ho jaygi.






Saturday, 13 January 2018

how tu create a blog and earning money in urdu







 BLOGGER

Step 1. Ap k pas ek laptop aur internet hona chahye.

Step 2. Sub se pehly ap google browser kholy aur os mai blogger liky tu sub se pehly ju list aye os mai sub se pehly waly option per click kary.

Step 3. Ab blog banany k leye gmail account ki id aur password enter kary .

Step 4. Ab ek list aye gi jis pe lika hoga new blog pe ap ne click karna hoga is k bad ek blog list kholy gi jis pe lika hoga creat a blog ap ne os mai tital, adress aur theme select kar k nichy create a blob pe apply kary tu apka blog ban gaya.

Step 5. Oper new post mai ap jis chez pe blog lik rahy hai os k bary mai liky aur description mai bhe liky ju ap likna chahty ho.



Step 6. Ab ap k samny likny k leye ek page koly ga is pe apna blog likna shoro kary tools apply kary size, color .images ke leye.

Step 7. sub se last mai apna blog complete kar k save aur pir publish kary .

Step 8. Earning k leye ap ne ek adsense account b create karna hoga lekin os k leye pehly apko kam as kam 10 blogs post karny hogy os k bad apko adsense account mily ga.

Suray Rehman se mushkilat ka hal in urdu

                     Suraye Rehman se mushkilat ka hal


Suraye Rehman  husny ibarat aur husny taraz k lihaz se Quran e pak ki zenat hai.is surat ki tilawat mai aisa asar hai k sunny waly per be had khamoshi aur raqat tari hoti hai.ye surat apny husny ibarat aur umda taraz e adaigi mai dulhan ki tarah arasta aur muzayyan hai.

Ye surat har kisam ki hajat rawai k leye bohat akseer hai. hajat k leye is surat ko 11 roz tak rozana 11 martaba parhy tu inshallah hajat pori hogi .

Agar kisi k gar mai mozi janwar rehty ho yani sanmp bichu waghaira tu is surat ko 7 martaba parh kar pani per dum kar k makkan ki dewaro per charaky inshallah mozi janwar waha se khatam ho jayegy.

Fajjar ki namaz k bad ishraq k waqat 3 martaba parhny se insan ki kismat badalti hai azmoda hai . kanwari larkio k leye is surat ka parhna bohat mofeed hai .

Friday, 12 January 2018

suray yaseen se mushkilat ka hal

                                Suray Yaseen se mushkilat ka hal

Hazrat Mohammad s.a.w.m se rewayat hai k har chez ka ek dil hota hai aur Quran ka dil suray yaseen hai jo suray yaseen shareef parhy ga osy iski qirat ki waja se 10 bar Quran majeed parhny ka sawab mily ga .

Ye surat har kisam ki hajat key leye bohat akseer hai. is leye agar kisi shakhs ko shiddaty hajat dar pesh ho tu osy chahye k 11 din tak suray yaseen ko Mobino k sath rozana ek martaba parhy inshallah iski hajat pori hogi.

Agar koi shakhs is surat ko bad namaz fajjar ek bar rozana parhny ka mamol bana le tu wo bohat jald logo mai har dil aziz hoga. iski izat mai bepanah izafa hoga maal mai barkat hogi. har kisam ki burai khatam ho kar tabiyat mai achai ka rujhan paida hoga.

Shayateen aur bhalao se mehfooz rahyga .bimaryo se shifa milygi ,agar aulad ki khwahish ho tu naik aulad milygi. isy kasrat se parhy tu qaid se rihai milygi gharz ye k suray yaseen ko parhny k bad jo khwahish dil mai laye ga tu allah apni rehmat se pora kary ga.


Dushmano ke shar se bachny k leye bhe suray yaseen bohat mufeed hai. lihaza agar kisi ko koi dushman tang karta ho tu osy chahye k 7 din tak rozana isy parhy inshallah zalim dushman se kisi kisam ka nuqsan na ponchy ga. 

Thursday, 11 January 2018

NTS solved paper

  • NTS solved paper

This is a solved model paper easy to nts for you. following some important questions giving below .
                                
1.The teacher accused me of-----because my essey was so similar to that of another student.
(a)procrastination  (b)plagiarism (c)celerity (d)confusion
2.Doctrine that there is only one God is called-----.
(a) dualism (b)communism (c)monotheism
 (d)nihilism
3.The new store opens-----business in march.
(a) for (b) in (c) about (d) of
4.There is little danger in going there. 
(a)pronoun (b) adverb (c) adjective (d) verb
5.A word that is used to describe a noun or pronoun is called.
(a)conjuction (b)preposition (c)adverb (d)adjective
6.Choose the correct synonyms; Adroit.
(a)skillful (b)deficient (c)hard-hearted (d)surprising
7.Does the police catch thief ?(change active to passive voice).
(a)Is the robber caught by the police ?
(b)Is the thief caught by the police ?
(c)Is the burglar caught by the police ?
(d)Is the child caught by the police ?
8.Direction; read the paragraph and mentions the answers.

what needs to be set right is our approach to work.it is a common sight in our country of employees reporting for duty on time and at the same time doing little work.if an assessment is made of time they spent in gossiping,drinking tea,eating pan and smoking cigarettes,it will be shocking to know that the time devoted to actual work is negligible.
Q. The employees in our country 
(a) are quite punctual but not duty conscious
(b)are not punctual ,but somehow manage to complete thier work
(c)are somewhat lazy but good natured
(d)are not very highly qualified
Q.The word assessment means
(a) enquiry (b)report (c)evaluation (d)summary
 9.20 men or 30 boys can do a certain job in 20 days . how long will it take 6 men and 15 boys to do the same job ?
(a)25 days (b) 10 days (c)8 days (d) 6 days
10. M and N working separately can complete a job in 6 and 12 hours respectively.if they work for an hours alternately M starting at 10;00 am when will the job be done?
(a) 2;00 pm (b)8;00pm (c) 7;00pm (d) 6;00pm
11.The major constituent of air is
(a)nitrogen (b) corban dioxide (c) oxygen (d) hydrogen
12.The first metal to be used by man was 
(a) aluminium (b)copper (c) silver (d) iron
13.Heart attack is caused due to
(a) blood sugar (b) cholesterol (c) blood urea (d) blood protein 
14.B.C.G. vaccine is used against
(a) T.B (b) leprosy (c) food poisoning (d) none of these
15.What is the national flower of pakistan ?
(a) jasmine (b) rose (c) daffodil (d) chanbeli
16. What is the national tree of Pakistan ?
(a) sheesham (b) keekar (c) deodar (d) none of these
17.Chakdara museum is located in which part of Pakistan ?
(a) dir lower (b) peshawar (c) swat (d) mardan
18.Which of the following is known as the black act ?
(a) dyarchy (b) doctrine lapse (c)rowlatt act (d) manto act
19.Where famous archaeological site moenjo daro is located ?
(a) balochistan (b)sindh (c) kpk (d) punjab
20.Where famous archaeological site  takht bhai is located ?
(a) balochistan (b) sindh (c) kpk (d) punjab

Wednesday, 10 January 2018

sitaro key assrat

                       Sitaro Kay Assrat

  1. Insan ki zindagi ajab hai . kabhi wo manzil ka mutlashi hota hai aur kabhi manzil is k qadmo mai hoti hai. kabhi wo samandar ki gehrai mai doob kar gehrai ki talash shoro karta hai aur kabhi sitaro per bhi kamand dalna apna nas bulain bana laita hai . yah sitaro ka damakna insani zindagi mai wo inqilab barpa kar daita hai k daikny waly ki aqal dung reh jati hai. Aye daikty hai k yeh insani ikhlaq aur kirdar per kaisy asar andaz hoty hai.


                21 MARCH TO 20 APRIL

                 Aries        

  • Jab hum aisy bacho ka clinical moaina karty hai tu maloom hota hai k yeh aisy bachy hoty hai jin k jisam aur zehan mai bhara josh aur walwala hota hai . In ki zindagi mai bhary nasheb o faraz aty hai . husla mand , himati, saaf go,iatimad aur be baak hoty hai .mushkilat ka jurat mandana mokabla karny waly hoty hai.Apny zamer k agy jawab deh hoty hai.

               21 APRIL TO 20 MAY

             Taurus

Jab hum in bachon ka clinical moaina karty hai tu maloom hota hai k aisy bachy mohabbat karny waly ,shafeeq aur har chez ki husan o jamal ko qadar ki nazar se daikty hai .Mosiqui aur fanoon e latifa ki taraf raghib hoty hai .Intihai tandy dil o dimagh k malik hoty hai. Pukhta azam aur mazboot quwat e iradi  k malik hoty hai .

              21 MAY TO 20 JUNE

            Gemini

Ilm e najum ki zuban mai in bacho joza kehty hai. Clinical study karny per maloom hota hai k yeh bachy achi zehni salahiyat rakty hai. In ka zehan humesha sar garam aur halat ke mutabiq hota hai .likny parhny ke salahiyat rakty hai . intihai reham dil .shafeeq aur  dosro say gehri humdardi rakty hain aam kaamo ko naye anadaz aur ihsan asloob ky sath kar k logo ko hairan kar daity hain.                                                                                                                             21 JUNE TO 20 JULY

 Cancer

Ilam najum mai is moddat mai paida hony waly bacho ko burj sartaan ka hamil kaha jata hai . Jab hum bacho ka clinical mutala karty hai tu humari nigah mai yeh bachy makhsos khasosyat k malik nazar aty hai.In ka hafza bohat acha aur zehan intihai taqatwar hota hai. In mai ghorbat ka khauf tari rehta hai.


21 July To 20 August

Leo
Ilam najum ke zuban mai en becho ko asad kaha jata hai.Ye bechy dil kay ghani,doorandesh aur buland tasvorat k malik hoty hai.Bary bary kaam sar anjam dai sakty hain.In ka rojhan bary mansobo ke traf hota hai ye bachy ba asool, wafadar dosti kay ilwa dushmani be nebhaty hai.

21 August To 20 September
Virgo
Es Maheny mai peda hony waly bachy behtareen salahiyato k malik hoty hai.Sakhat mehnati hony ke bena par boht jald Mukhtalif uloom seek laity hai zaheen hony kay bawajod ihsas kamtari mai mubtila rahty hai.

21 |September To 20 October
Libra
hamry mutalley mai en bacho ko meezani bachy kaha jata hai
Ye bacy intihai insaaf pasand hoty shayad en ke insaaf pasnadi ko
daik  kar he enko meezan ka naam deya ho.

21 october To 20 November
Scorpio

Ye bachy achy demagh aur dil k ghani hoty hain.Khud be kamybi k muntazir hoty hai aur dosro ko be kamyab  daikna chahty hai.Ye bachy humdardi menhti aur achy dost sabit hoty hai.

21 November to 20 December
                                              Sagittarius  
Ye bachy rohani khobyo k malik hoty hai, bad demagh aur chechraty rahty hai ye bachy bohat jald baz hoty.Ala taleem aur mushkil mazameen  ke taleem haseel karty hain.                                                                                                                                                                21 December to 20 January
        capricon
ye bachy sakht mehnati aur mustakil mizaj hony ki waja se musalsal mehnat aur mushakat kar k taraki key buland tareen maqam per pohanch jaty hai.ye behad hasas aur khamosh tabaa hoty hai .                                                                                                                                                        21 January to 20 February
                                   Aquarius
ye bachy aksar ziyada namak kany key aadi hoty hai .bohat mehnati ,sabir ,dosro key humdard hoty hai.logo key sath mil kar musarat mehsos karty hai aur dostana rawaya apnaty hai .                                               
                         21 February TO 20 March
      pisces
ye bachy apni shakhsiyat ko jitna chahy buland le ja sakty hai .jis ilam ko chahy seek sakty hai.ye bachy bhary reham dil, khush ikhlaq aur dosro k humdard hoty hai